Sunday, February 22, 2015

Bekhauf Raasta

Darwaza koi ghar se nikalne ke liye de
Bekhauf koi raasta chalne ke liye de
Aankhon ko khawb ataa kiye shukria lekin
Paikar bhi koi khawbon main dhalne ke liye de
Sehmi huyi shaakhon ko zara si koi mohlat
Sooraj ki sawaari ko nigalne ke liye de
Sab waqt ki deewar se sar phorr rahe hain
Koi humain bhi to raasta bhaag nikalne ke liye de
Sailaab main mujh ko aye phenkne wale
Toota hua aik pal hi sambhalne ke liye de
Bedard mohabbatain hain bedard dilon ki
Koi cheez to inhe bhi pighalne ke liye de
~ ~ ~ ~ ~

Bekhauf Raasta

2 comments: