Silsile tod gaya woh sabhi jaate jaate
Warna itne to marasim the k aate jaate
Shikwa-e-zulmat-e-shab se to kahin behtar tha
Apne hisse ki koi shama jalate jaate
Kitna asaan tha tere hijar mein marna jaana
Fir bhi ek umar lagi jaan se jaate jaate
Jashan-e-maqtal hi na barpa hua warna hum bhi
Paab-zoolan hi sahi naachte gaate jaate
Uski woh jaane use paas-e-wafa tha k na tha
Tum FARAZ apni taraf se to nibhaate jaate
No comments:
Post a Comment