Monday, May 4, 2015

Khuli Jo Aankh To Wo Tha NA Wo Zamana Tha

Khuli jo aankh to wo tha na wo zamana tha
Dehkti aag thi, tanhayi thi, fasana tha..

Gumon ne baant liya hai mujhe yuon aapes main
ke jaise main koi loota hua khazana tha..

Ye kia chund hi kadmoo pe jhuk ke baith gaye
Tumhain to sath mera door  tak nibhana tha..

Mujhe jo mere lahoo main daboo ke guzra hai
Wo koi ghair nahi yaar ek purana tha..

Khud apne he hath se usko kaat diya
Ke jis taraf pahle ye aashiyaana tha..


No comments:

Post a Comment